Anugun lovestory part-127

Anugun or family…

(anugun room me ate he…)
anu : oo aj to me bhut thak gya hu…
gg : thakoge kyu nhi…tum to or or thakne chahiye… khud to padhte rehte ho or ab mujhe bhi padhne ko keh rhe ho… (gg man me kehti he…)
anu : tumne kuch kha…
gg : mene nhi… me kya khungii…
anu : to thik he so jao dekho 11:30 ho gye he subha ko uthna bhi he… mujhe qki tum to uthogi nhi…
gg : hehe very funny…
(anugun sone ke liye bad par jate hi he ki… achanak se yug or neeti ke room se neeti ke chillane ki awaz ati he… “aaaaa aaah aa…”…)
gg : ye to bhabhi ki awaz he…
anu : ha… hua kya bhabhi ko…
(anugun yug or neeti ke room ki or bhagte he… or dekhte he ki baki sab bhi neeti ki awaz sun yug ke room ke bahar aa ikatthe huye…)
gg : kya hua bhabhi ko…
sargam : pta nhi… achanak…
bm : hee kya hua yug neeti ko…
yug : pta nhi maa… achanak se…
(bm or ghar ki ladies neeti ke pas jati he)
bm : hee bitiya kya hua…ha bol
neeti : pta nhi maa…pet me bhut tej dard ho rha he….
sargam : dard lakin abhi to tum thik thi neeti beta… tumhe kuch…yug neeti ko kuch hua to nhi…
yug : nhi chachi neeti to ache se so rhi thi fir achanak…
gg : o god… bhabhi apne khana to thik se khaya tha na…
(sab gg ko dekhte he…)
gg : nhi mera matlab he ki kabhi kabhi bhuk se bhi.. pet dukhne lagta he…
bm : he bitiya kuch ulta-sidha to nahi na kha lia tha…
neeti : nhi maa… aaa
divya : aesi halat me pet me dard hona… hame dr. ke pas chalna chahiye…
bm : ha shi keh rhi he hame dr. ke yha chalna chahiye…
neeti : aaa…
bm : neeti… neeti beta….
divya : dr. ko yhi par bula lena chahiye…
anu : me dr. ko phone karta hu…
(anu ke phone se rat me hi dr. chale ate he… dr. neeti ka check up karti he…or dr. dekhti he ki neeti ki tabiyat thik nhi he… we turat hi neeti ko hospital me admit karane ke liye kehti he…is bat se har koi presan ho jata he…)
divya : lakin aesa bhi kya hua dr. jo ki ap
dr. : dekhiye inki situation bhut critical he… ap inhe jald se jald hospital me admit kra dijiye… me tabhi apko btati hu….
anu : ap chaliye dr. ham bhabhi ko lekar ate he…
dr. : ji jaldi kijiye…
(neeti ko jaldi hi hospital lekar jate he or admit karate he…)
bm : kya bta he daktarni sahiba neeti bitiya thik to hena…
dr. : dekhiye ap mujhe thoda time dijiye… aa mujhe mr. kulshreshtha se kuch bat karni he…
yug : ji kahiye…
dr. : ap aiye…
(dr. yug ko sign karne ke liye kuch papers deti he…yug papers dekhta he..)
yug : ye kya…
dr. : dekhiye patient ki situation thik nhi he or is doran patient or baby ko kuch ho jata he to….
yug : matlab…ap kehna kya chah rhe he dr.
dr. : ap to jante hi he mr. kulshrastha ki starting ke 3 months bhut najuk hote he or fir neeti ki reports bhi thik nhi he… (ye sab sunkar yug ke liye apne ap ko sambhalna muskil ho jata he… yug ko samajh hi nhi aa rha tha ki kya ho rha he…)
bm : ee yug kha reh gya…
anu : me dekhta hu… (anu yug ke pas jata he…)
anu : kya bat he bhaiya… ap ap thik to he…
(yug anu ko wo papers dikhata he…)
anu : ye to koi emergency hone par…
dr. : emergency hi he mr. kulshrashtha
anu : laiye me me sign kar deta hu…
dr. : ok…
(anu sign karta he or yug ko sambhalta he..)
anu : bhaiya bhaiya plz khud ko sambhaliye…
yug : kese… anu kese sambhalu… me khud ko… dr. keh rhi he ki neeti….
anu : bhaiya plz… (yha yug presan tha or family bhi… is tarha adhi rat me neeti ko hospital me admit karna kahi na kahi sabko lag rha tha ki kuch anhoni hone wali he… lakin sab ek dusre ko sambhal rhe the…)
gg : ap tantion mat lijiye bdi maa… bhabhi ko kuch nhi hoga…
bm : kesian kesian bitiya…chinta na kre
chhavi : bdi maa… plz…
(sab ek dusre ko sambhal hi rhe the ki itne me hi dr. ati he…)
gg : dr. aa gii…
divya : kya bat he dr. neeti thik to hena
(dr. kuch nhi kehti..)
sargam : boliye na ap kuch bol kyu nhi
rhi he…
dr. : dekhiye… neeti to thik he lakin
gg : lakin… kya hua dr.
dr. : i am sorry… neeti ka miscarriage ho gya he…
sab : kya….
(ye sunkar sabke pero ke niche se jamin nikal jati he…)
dr. : ap ap log plz sambhaliye khud ko… or plz ap patient ka khayal rakhe…take care…
yug : dr. kya ham neeti se mil sakte he..
dr. : ji mil sakte he… lakin unhe abhi aram karne dijiye…

Leave a comment